Zamee Falak Maho Akhtar Husain Wale Hai Lyrics

Zamee Falak Maho Akhtar Husain Wale Hai
Ye Kainaat Ke Manzar Husain Wale Hai


Hawa Se Keh Do Wo Ajaye Andhiya Lekar
Mere Chirag Ke Tewar Husain Wale Hai


Kata To Sakte Hai Lekin Jhuka Nahi Sakte
Hamare Jism Pe Ye Sar Husain Wale Hai


Tum Apni Kasrate Taadat Pe Na Itraao
Suno Hamare Bahattar Husain Wale Hai


Husainiyon Ko Pilayenge Jaam Kausar Ka
Huzoor Saahibe Kausar Husain Wale Hai


Raza o Hamid o Noori Mufassir e Azam
Hamare Hazrat E Akhtar Husain Wale Hai

© Naat Sharif - Naat Lyrics, Hamd, Naats, Manqabats, Salaams., AllRightsReserved.

Maintained by Naat Sharif Channel