Zamane Me Agar Dekhi To Shane Qadri Dekhi Lyrics

Zamane me agar dekhi to shane qadri dekhi
Nabuwat ke gulistan me wilayat ki kali dekhi
Haqeeqat khul gayi jab sar zameen bagdad ki dekhi
Tajalli hi tajalli raushni hi raushni dekhi
Dayare Gaus kya dekha Madine ki gali dekhi

Shahe bagdad ne jis par karam ki ik nazar daali
Bana har kaam uska ho gayi sab door badhaali
Mere Gausul wara ki shaan kya shaan hai aali
Sawaali aap ke dar se lauta nahi khaali
Shehenshaaho se bhi badh kar sakhawat aap ki dekhi

Mukhalif thi hawa darya me ek aisi lehar aayi
Gayi darya me kashti doob saail pe khabar aayi
Zaeefa ek roti peet ti Aaqa ke ghar aayi
Duwa maangi janabe gaus ne kashti ubhar aayi
Zamaane tu ne mere Gaus ki darya dili dekhi

Nida dega munadi hashr me yoon qadriyon ko
Kaha hai qadri karle nazara gause aazam ka

Kabhi qadmon se liptunga kabhi daman pe machlunga
Bata dunga ke yoon jhukta hai banda gause aazam ka