Idhar bhi nigaahe karam Gause Aazam Lyrics

Idhar bhi nigaahe karam Gause Aazam
Karo door ranjo alam Gause Aazam.

Ghira hoon mein har samt se ranjo gham mein
khudara karam kar karam Gause Aazam.

Woh rutba tera hai ke jitne wali hain
Sabhi tere zere qadam Gause Aazam.

Hai gardan mein teri ghulami ka patta
Tujhi se hai mera bharam Gause Aazam.

Tera hoon mein tera mere is kahe ka
Sare hashr rakhna bharam Gause Aazam.

Madine se najdi bala ko nikalo
Karo un ke sar ko qalam Gause Aazam.

Mera har maraz door ho jaye pyare
Karo aisa aakar ke dam Gause Aazam.

Mujhe khwaab mein aa ke jalwa dikha do
Karo aaj ki shab karam Gause Aazam.

Nazar jab uthau nazar aaye mujh ko
Madine ka dilkash Haram Gause Aazam.


Jila paaye ga dil Ubaide Raza ka
Zara rakh do apna qadam Gause Aazam.