Sab Se Aula Wo Aala Humara Nabi
Sab
Se Baala Wo Aala Humara Nabi
Arsh
E Aazam Ka Taara Humara Nabi
Noor
Saara Ka Saara Humara Nabi
Khud
Khuda Ne Sawaara Humara Nabi
Apne
Maula Ka Pyara Humara Nabi
Dono
Aalam Ka Dulha Humara Nabi
Jiske
Sar Par Shafa'at Ka Sehra Bandha
Kaaba
Qausain Ka Jisko Rutba Mila
Jiska
Chehra Hai Aaina'ye Haq Numa
Bazme Aakhir Ka Shamae Firoza Hua
Noore Awwal Ka Jalwa Humara Nabi
Uske
Ausaaf Ginti Me Kab Aa sake
Jiske
Kooche Pe Qurbaan Sab Jannate
Badshaho
Ke Sar Jiske Aage Jhuke
Bujh
Gayi Jis ke Aage Sabhi Mash-ale
Shamma
Wo Lekar Aaya Humara Nabi
Jisne
Dekha Hai Khaliq Ko Asra Ki Raat
Hai
Kalaqm E Khuda Jis ki Har Ek Baat
Jiske
Ke Dum Se Hai Kauno Makaa Ko Sabaat
Jiske
Talwo Ka Dhowan Hai Aabe Hayaat
Hai
Wo Jaane Maseeha Humara Nabi
Shabe
Asra Ke Jalwo Ka Kya Ho Bayaan
Buk'aye
Noor The Sab Zameen Aasman
Kya
Bataau Tumhe Kya Tha Us dum Samaa
Arsho
Kursi Ki Thi Aaina Bandiya
Sue
Haq Jab Sidhaara Humara Nabi
Sarware
Ambiya Malike Juz Wo Kul
Woh
Hai Nabiyo Me Yu Jaise Guncho Me Gul
Baat
To Saaf Hai Phir Ye Kyun Shoro Gul
Khalq
Se Auliya, Auliya Se Rusul
Aur
Rasoolo Se Aala Humara Nabi
Arshe
Aazam Ki Izzat Hai Jiske Qadam
Jiske
Qabze Me Hai Ilme Lauho Kalam
Jiske
Baa'is A'yaa Hai Uduso Kidam
Husn
Khata Hai Jiske Namak Ki Qasam
Wo
Maleehe Dil aara Humara Nabi
Lakhon
Aaye Yaha Aur Lakhon Gaye
Unche
Unche Shehenshah Yaha Na Ruke
Kitne
Jalte Diye Jalke Phir Bujh Gaye
Kya
Khabar Kitne Taare Khile Chup Gaye
Par
Na Doobe Na Dooba Humara Nabi
Mangne
Walo Tum Ko To Yu Chahiye
Unse
Hi Mange Dil Ko Sukoon Chahiye
Mangna
Aur Kisi Se Bhi Kyun Chahiye
Kaun
Deta Hai Dene Ko Muh Chahiye
Dene
Wala Hai Sachcha Humara Nabi
Mere
Aaqa Ki Mamnoon Har Ek Shai
Unka
Ehsaan Har Zarre Zarre Pe Hai
Kahiye
Sayyed Se Aaho Buka Na Bake
Ghumzado
Ko Raza Muzda Dije Ke Hai
Bekaso Ka Sahara
Humara Nabi