Ya Khawaja e Hindalwali Manqabat Lyrics

Ya Khwaja e hindalwali
Mehboobe sultane haram
Bekaso pe karam ho jaaye karam

Aye Mustafa ke laadle
aye dilbare shahe umam
Bekaso pe karam ho jaaye karam

Noor nigahe panjatan
Tanveere shahe zulminan
Khwaja Moinuddin Hasan
Ye waqt hai mujh pe kathin
Sar pe hai toofaane alam
Bekaso pe karam ho jaaye karam

Khairunnisa ke waaste
Mushkil kusha ke waaste
Kul Ambiya ke waaste
Khwaja Khuda ke waaste
Majboor ka rakh lo bharam
Bekaso pe karam ho jaaye karam

Aye taajdare Auliya
Haami nahi koi mera
Sun lo khudara iltija
Fariyad hai Khwaja piya
Tadpa rahe hai dardo gham
Bekaso pe karam ho jaaye karam

Ab aankh hai gham se bhari
Hai dard ki shiddat badi
Tu kaat de gham ki kadi
Rota hai pur noor nam har ghadi
Kehte hai aasu dam ba dam
Bekaso pe karam ho jaaye karam.