Sar Sooye Rauza Jhuka Phir Tujh Ko Kya Naat Lyrics

Sar sooye Rauza jhuka phir tujh ko kya
Dil tha saajid najdiya phir tujh ko kya

Baithte uthte madad ke waaste
Ya Rasoolallah kaha phir tujh ko kya

Yaa garaz se chhut ke mehz zikr ko
Naame paak unka japaa phir tujh ko kya

Bekhudi mein sajdaye dar ya tawaaf
Jo kiya achcha kiya phir tujh ko kya

Un ko tamleeke maleekul mulk se
Maalike aalam kaha phir tujh ko kya

Unke naame paak par dil jaano maal
Najdiya sab taj diya phir tujh ko kya

Ya ibaadi keh ke hum ko Shaah ne
Apna banda kar liya phir tujh ko kya

Dev ke bandon se kab hai ye khitaab
Tu na unka hai na tha phir tujh ko kya

Laa-ya’oo-doon aage hoga bhi nahi(n)
Tu alag hai daaima phir tujh ko kya

Dashte girde peshe Taiba ka adab
Makka sa tha ya siwa phir tujh ko kya

Najdi marta hai ki kyun taa’zeem ki
Yeh humara deen thaphir tujh ko kya

Dev tujh se khush hai phir hum kya kare(n)
Hum se raazi hai Khuda phir tujh ko kya

Dev ke bandon se hum ko kya garaz
Hum hai abde Mustafa phir tujh ko kya

Teri dozakh se to kuch cheena nahi(n)
Khuld mein pahuncha Raza phir tujh ko kya