Jab Husn Tha Unka Jalwa Numa Naat Lyrics

Jab Husn Tha Unka Jalwa Numa

Anwaar Ka Aalam Kya Hoga
Har Koi Fida Hai Bin Dekhe
Deedaar Ka Aalam Kya Hoga
Ek Simt Ali Ek Simt Umar,
Siddique Idhar Usmaan Udhar
In Jag Mag Jag Mag Taaron Me
Sarkaar Ka Aalam Kya Hoga
Jis Waqt Haleema Ki Godi
Anwaare Khuda Se Raushan Thi
Us Waqt Haleema Daai Ke
Ghar Baar Ka Aalam Kya Hoga
Jab Inke Gada Bhar Dete Hain
Shahaane Zamaana Ki Jholi
Mohtaaj Ka Jab Ye Aalam Hai
Mukhtaar Ka Aalam Kya Hoga
Chahe To Ishaaron Se Apne
Kaya Hi Palat De Duniya Ki
Yeh Shaan Hai Unke Ghulamon Ki
Sardaar Ka Aalam Kya Hoga
Sun Sun Ke Sahaba Ki Batein,
Kuffaar Musalmaan Hote The
Phir Mere Rasoole Akram Ki
Guftaar Ka Aalam Kya Hoga
Taibah Se Hawaein Aati Hai
Is Dil Ko Sukoon Mil Jaata Hai
Is Paar Ka Jab Ye Aalam Hai
Us Paar Ka Aalam Kya Hoga