Hussain Tum Ko Zamana Salaam Kehta hai Lyrics

Tumhare sajde ko kaaba salam kehta hai
Jalaal e quba e khazra salaam kehta hai.
Chaman ka har gul wa guncha salaam kehta hai
Hussain tum ko zamana salaam kehta hai.
Charaag wa masjid wa mimbar salaam kehte hain
Nabi rasool payamber salaam kehte hain
Ali wa Fatima Shabbar salaam kehte hain
Khuda gawaah ke nana salaam kehta hai.
Khuda ki raah me sar ko kata diya tumne
Nabi ke deen pe ghar ko luta diya tumne
Nishaan e kufr ko yaksar mita diya tumne
Tumhe khuda bhi tumhara salaam kehta hai.
Tumhein falak ke sitaare salaam kehte hain
Tumhein Quraan ke paare salaam kehte hain
Tumhein Haram ke minaare salaam kehte hain
Imaam tum ko Madina Salaam kehta hai.
Sana Tumhari wazeefa hai mera Aabai
Tumhari madh to shewah hai mera mawlai
Bas ek nazar ho jo mujh par to meri ban aayi
Tumhara SAYYADE shaida Salaam kehta hai.