Faaslo Ko Takalluf Kai Hum Se Naat lyrics

Faaslo ko takalluf hai hum se agar,
hum bhi be bas nahi, be sahara nahi
Khud Inhi ko pukarenge hum door se,
raaste me agar paoon thak jayenge

Jaise hi Sabz Gumbad nazar aayega,
bandagi ka qareena badal jaayega
Sar jhukane ki fursat milegi kise,
khud hi aankhon se sajde tapak jayenge

Hum Madine me tanha nikal jayenge,
aur galiyon me qasdan bhatak jayenge
Hum wahaa jaake wapas nahi aayenge,
dhoondte dhoondte log thak jayenge

Naam Inka jahaan bhi liya jaayega,
Zikr Inka jahaan bhi kiya jaayega
Noor hi Noor seeno me bhar jaayega,
Saari Mehfil me Jalwe lapak jayenge

Aye Madine ke zaair Khuda ke liye,
daastane safar mujh ko yoon mat suna
Dil tadap jaayega, baat badh jaayegi,
mere muhtaat aansoon chalak jayenge

Inki Chasme Karam ko hai iss ki khabar, 
kis musafir ko hai kitna shauqe safar
Hum ko Iqbal jab bhi ijazat mili, 
hum bhi Aaqa ke Darbaar tak jaeng