Allah Ke Habeeb Ka Kitna Hasee Dayaar Hai Naat Lyrics

Allah ke Habeeb ka kitna hasee(n) dayaar hai
Mausam ho koi bhi magar rehti waha bahaar hai

Unki zubaane dil nashee(n) kis darja ba waqar hai
Dushman ko bhi Rasool ki baato pe aitebaar hai

Marne ke baad bhi meri aankhen na band ho saki
Mujh ko abhi Rasool ki aamad ka intezaar hai

Khulde Bari ka tazkira chedo na doston abhi
Mere tasawwuraat me Sarkar ka mazaar hai

Mere kareeb aa sake shaitaan ki majaal kya
Noore Khuda ke naam se maine kiya hisaar hai

Jab se tabassum me aziz choota hai Shehre Mustafa
Ye jaan nisaar har ghadi ab hijr ka shikaar hai