Taiba ke Jaane wale Naat lyrics

Taiba ke jaane wale,
Jakar zara adab se
Mera bhi kissa e gham,
Kehna shah e arab se.

Taiba Ke Jaane Wale 
Taiba Ke Jaane Wale 

Kehna kay shah e aali,
ik ranj o gham ka mara
Dono jahan mein iska,
hai app hi sahara
Halaat e pur aalam say,
har dam guzar raha hai
Aur kanptay labhoon say,
faryaad kar raha hai 
Baaray gunah apna,
hai dosh per uthaye
Koi nahin hai aisa,
jo puchanay ko aaye
Bhatka hua musafar manzil ko dhundta hai
Tarikiyoon mein mah e kamil ko dhundta hai 

Senay mein hai andhera,
dil hai siyah khana
Yeh sab meri haqeeqat
Sarkar ko sunana 

Kehna meray Nabi say,
mehroom hoon khushi say,
Sar per ek abray gham hai
Ashkoon say aankh naam hai,
Pamale zindagi hoon,
sarkar ummati houn,
Ummat kay rehnuma ho,
kuch arz e hal sunlo,
Faryaad ker raha hu,
Mein dil figar kab say,
Mera bhi kissa e gham kehna shahe arab sai. 

Taiba ke jaane wale,
Jakar baray aadab say
Mera bhi kisa e gham,
Kehna shah e arab say.

Taiba Ke Jaane Wale
Taiba Ke Jaane Wale

Kehna kay kha raha houn,
mein thokarein jahan mein
Tum hee batao aaqa,
jaoon bhala kahan main
Mehsoos ker raha houn,
duniya hai ek dhoka
Matlab kay yaar hain sab,
koi nahin kisi ka
Kis ko mein apna janoon,
kis ka main loun sahara
Mujko to meray aaqa hai aap ka sahara 

Tum hi suno gay meri,
tum hee karam karo gay
Dono jahan mein tumhi,
mera bharam rakho gay.
Tum ho Shahe do aalam,
mein eik naseeb e barham
Tum bay kasoun kay wali,
main bay nawa sawali
Tum aasiyoon ka yaara,
mein gardishoon ka mara
Rehmat ho tum sarapa,
main murtiqab khata ka
Hu sharm saar apnay,
aamal kay sabab say
Mera bhi kissa e gham,
Kehna shah e arab say 

Taiba ke jaane wale,
Jakar baray aadab say
Mera bhi kisa e gham,
Kehna shah e arab say.

Taiba Ke Jaane Wale
Taiba Ke Jaane Wale  

Aye aazam e madina,
jaa kar Nabi say kehna
Soz e gham e aalam say,
ab jal raha hai seena
Kehna kay dil mein lakhoon
armaan bharay huay hain
Kehna kay hasratoon kay
nashtar chubhay huey hein
Hai arzoo yeh dil ki,
mein bhi madinay jayoun
Sultan e do jahan ko,
sab dagh e dil dikhoon. 

Katoun hazar chakar,
taiba ki har gali kay
Yu hee guzaar du main,
aayam zindagi kay
Phooloon pay jaan nisaroon,
katoun pay dil ko waroun
Zaroun ko doun salami,
dar ki karoun ghulami
Deewar o dar ko choumoon,
qadmoon pay sar ko rakh doon
Mehboob say lipat kar,
rota rahoun barabar
Aalam kay dil mein hai yeh,
hasrat najanay kab say
Mera bhi kisa e gham,
kehna shah e arab say

Taiba ke jaane wale,
Jakar baray aadab say
Mera bhi kisa e gham,
Kehna shah e arab say.

Taiba Ke Jaane Wale
Taiba Ke Jaane Wale