Subha Taiba Mein Hui Naat Lyrics

Subha Taiba mein hui bat-ta hai baada noor ka
Sadqa lene noor ka aaya hai taara noor ka

Baaghe Taiba mein suhana phool phoola noor ka
Mast boo hain bulbulen padti hai kalma noor ka

Baarhavi ke chaand ka mujra hai sajda Noor ka
Baarah burjon se jhuka ek ik sitaara noor ka

Unke qasre qadr se khuld ek kamra noor ka
Sidra paayen baagh mein nanha sa pauda noor ka

Arsh bhi firdaus bhi us Shaahe waala noor ka
Yeh musamman burj woh mushkooye aa’la noor ka

Aai bid’at chaayi zulmat rang badla noor ka
Mahe sunnat mehre tal’at le le badla noor ka

Tere hi maathe raha hai aye jaan sehra noor ka
Bakht jaaga noor ka chamka sitaara noor ka

Main gads tu Baadshah bhar de piyaala noor ka
Noor din doona tera de daal sadqa noor ka

Teri hi jaanib hai paancho(n) waqt sajda noor ka
Rukh hai qibla noor ka abroo hai kaaba noor ka

Pusht par dhalta sare anwar se shamla noor ka
Dekhen Moosa toor se utra saheefa noor ka

Taaj waale dekh kar tera imaama noor ka
Sar jhukate hain Ilaahi bol baala noor ka

Beeniye purnoor par rakhshaa(n) hai bukka noor ka
Hai liwaa ul hamd par udta farera noor ka

Mushafe aariz pe hai khatte shafee’aa noor ka
Lo siyah kaaro mubarak ho qabaala noor ka

Aabe zar banta hai aariz par paseena noor ka
Mushafe ae’jaaz par chadhta hai sona noor ka

Pech karta hai fida hone ko lam’aa noor ka
Girde sar firne ko banta hai imaama noor ka

Haibate aariz se tharraata hai sho’la noor ka
Kashfe paa par gir ke ban jaata hai guffaa noor ka

Sham’a dil mishkaat tan seena zujaaja noor ka
Teri soorat ke liye aaya hai soorah noor ka

Mail se kis darje suthra hai woh putla noor ka
Hai gale mein aaj tak kora hi kurta noor ka

Tere aage khaak par jhukta hai maatha noor ka
Noor ne paaya tere sajde se seema noor ka

Tu hai saaya noor ka har uzw tukda noor ka
Saaye ka saaya na hota hai na saaya noor ka

Kya bana naame khuda asra ka dulha noor ka
Sar pe sehra noor ka bar mein shahaana noor ka

Bazme wahdat mein mazaa hoga dobaala noor ka
Milne sham’aye toor se jaata hai ikka noor ka

Wasfe rukh mein gaati hain hoore(n) taraana noor ka
Qudrati beeno(n) mein kya bajta hai lehra noor ka

Yeh kitaabe kun mein aaya turfa aayaa noor ka
Ghaire qaail kuch na samjha koi maa’na noor ka

Dekhne waalo ne kuch dekha na bhaala noor ka
Man ra aani kaisa yeh aaeena dikhaaya noor ka

Subha kar di kufr kee sachcha tha muzda noor ka
Shaam hi se tha shabe teerah ko dhadka noor ka

Padti hai noori bharan umdaa hai dariya noor ka
Sar jhuka kishte kufr aata hai ahlaa noor ka

Naatiyon ka daur tha dil jal raha tha noor ka
Tum ko dekha ho gaya thanda kaleja noor ka

Naskhe adiyaa(n) kar ke khud qabza bithaya noor ka
Taajwar ne kar liya kachcha ‘alaaqa noor ka

Jo gada dekho liye jaata hai toda noor ka
Noor ki sarkaar hai kya is mein toda noor ka

Bheek le Sarkaar se la jald kaasa noor ka
Maahe nau Taiba mein bat-ta hai maheena noor ka

Dekh in ke hote nazaiba hai daa’wa noor ka
Mehr likh de yaa(n) ke zarro ko muchalka noor ka

Yaa(n) bhi daage sajdaye Taiba hai tamgha noor ka
Aye qamar kya tere hi maathe hai teeka noor ka

Sham’a sa(n) ek ek parwana hai us ba noor ka
Noore Haq se lau lagaaye dil mein rishta noor ka

Anjuman waale hain anjum bazm halqa noor ka
Chaand par taaron ke jhurmat se hai haala noor ka

Teri nasle paak mein hai bachcha bachcha noor ka
Tu hai aine noor tera sab gharaana noor ka

Noor ki sarkaar se paaya do shaala noor ka
Ho mubarak tum ko zunnoorain joda noor ka

Kis ke parde ne kiya aaeena andha noor ka
Maangta firta hai aankhen har nageena noor ka

Ab kaha woh taabishen kaisa woh tadka noor ka
Mehr ne chup kar kiya khaasa dhundalka noor ka

Tum muqaabil the to pehron chaand badhta noor ka
Tum se chut kar munh nikal aaya zara sa noor ka

Qabre anwar kahiye ya qasre mu’alla noor ka
Charkhe atlas ya koi saada sa qubba noor ka

Aankh mil sakti nahi(n) dar par hai pehra noor ka
Taab hai be hukm par maare parinda noor ka

Naz’a me lautega khaake dar pe shaida noor ka
Mar ke odhegi aroose jaa(n) dupatta noor ka

Taabe mehre hashr se chaunke na kushta noor ka
Boondiyaa(n) rehmat ki dene aayi cheenta noor ka

Waz’e waaze’ mein teri soorat hai maa’na noor ka
Yoon majaazan chaahen jis ko keh de kalima noor ka

Ambiya ajzaa hain tu bilkul hai jumla noor ka
Is ilaaqe se hai un par naam sachcha noor ka

Yeh jo mehro maah pe hai itlaaq aata noor ka
Bheek tere naam ki hai istiaara noor ka

Surmagee(n) aankhen hareeme haq ke woh mushqee(n) ghazaal
Hai fazaaye laa maqaa(n) tak jin ka ramna noor ka

Taabe husne garm se khil jaayenge dil ke kanwal
Nau bahaaren laayega garmi ka jhalka noor ka

Zarre mehre quds tak tere tawassut se gaye
Hadde ausat ne kiya sugra ko kubra noor ka

Sabzaye gardoon jhuka tha behre paa bose buraaq
Phir na seeda ho saka khaaya woh koda noor ka

Taabe sum se chaundhiya kar chaand unhi qadmon fira
Hans ki bijlee ne kaha dekha chalaawa noor ka

Deede naqshe sum ko nikli saat pardon se nigaah
Putliyaan bolee(n) chalo aaya tamaasha noor ka

Aqse sum ne chaand sooraj ko lagaaye chaar chaand
Pad gaya seemo zare gardoon pe sikka noor ka

Chaand jhuk jaata jidhar ungli uthaate mahd mein
Kya hi chalta tha ishaaron par khilona noor ka

Ek seene tak mushaabeh ik waha(n) se paau tak
Husne sibtain inke jaamon mein hai neema noor ka

Saaf shakle paak hai dono(n) ke milne se ayaa(n)
Khatte tau-am mein likha hai yeh do warqa noor ka

Kaaf gesu Haa dahan Yaa abroo aankhen Ain Swaad
Kaaf Haa Yaa Ain Swaad unka hai chehra noor ka

Aye Raza yeh Ahmade noorie ka faize noor hai
Ho gayi meri ghazal badh kar qaseeda noor ka