Muhammad Mustafa Tum Ho Naat Lyrics

Muhammad Mustafa tum ho
Muhammad Mujtaba tum ho
Makeene gumbade Khazra
Shahe har do sara tum ho

Sallallahu Ala Muhammad
Sallallahu Alaihi Wasallam

Makame Mustafa Nabiyon ne baite quds me Dekha
Sabhi hai muqtadi aur har Nabi ke muqtada tum ho


Pade yasrab Paaye Naaz wo Taiba hua fauran
Dil e beemaar ki khatir dawa tum ho shifa tum ho

Jaha bhar me musalma hai giriftare bala Aaqa
Karo Nazar e karam ke daafaye jumla bala tum ho

Suna farmaane Rab Jaauka hazir ho gaye hai hum
Khuda ke baad bando ka yakinan aasra tum ho

Tumhare darpe hazir hoke SHAKIR arz karta hai
Tumhi hajat rawa ho aur mere mushkil kusha tum ho