Tu hai woh Gaus ke har Gaus hai shaida tera
Tu hai woh
gais ki har gais hai pyasa tera
Suraj aglo
ke chamakte the chamak kar dube
Ufuqe noor
pe hai mehar humesha tera
Murg sab
bolte hain bolke chup rehte hai
Haan aseel
ek nawasanj rehega tera
Jo wali
qabl the ya baad huye ya honge
Sab adab
rakhte hai dil me mere aaqa tera
Tu hai
naushah baraati hai ye saara gulzaar
Layi hai
fasle saman goondh ke sehra tera
Daaliyan
jhumti hai raqse khushi josh pe hai
Bulbule
jhulti hai gaati hai sehra tera
Geet
kaliyon ki chatak gazle hazaron ki chahak
Bag ke
saajo me bajta hai tarana tera
Safe har
shajra me hoti hai salami teri
Shaakhe
jhuk jhuk ke baja laati hai mujra tera
Kis
gulistan ko nahi fasle bahari se niyaaz
Kaun se
silsile me faiz na aaya tera
Nahi kis
chaand ki manzil me tera jalwaye noor
Nahi kis
aaine ke ghar me ujaala tera
Raaj kis
shehar me karte nahi tere khuddaam
Baaj kis
nehar se leta nahi dariya tera
Mazraye
chisht o Bukhara wa iraqo ajmer
Kaun si
kisht pe barsa nahi jhaala tera
Aur Mehboob
hain, ha par sabhi yaksa to nahi
Yu to
Mehboob hai har chahne wala tera
Usko so
fard sarapa ba faragat odhe
Tang ho kar
jo utarne ko ho neema tera
Gardane
jhuk gayi sar bich gaye dil laut gaye
Kasfe saaq
aaj kaha ye to qadam tha tera
Taaje farqe
urafa kis ke qadam ko kahiye
Sar jise
baaj de woh paau hai kiska tera
Sukr ke
josh me jo hain woh tujhe kya jaane
Khizr ke
hosh se pooche koi rutba tera
Aadmi apne
hi ahwal pe karta hai qiyas
Nashe walo
ne bhala sukr nikala tera
Who to
choota hi kaha chahe ki hai zere hazeez
Aur har auj
se unchaa hai sitara tera
Dile aa’da
ko Raza tez namak ki dhun hai
Ek
zara aur chidakta rahe khama tera