Sarta Ba Qadam Hai Tane Naat Lyrics

Sarta ba qadam hai tane sultane zaman phool
Lab phool dahan phool zaqan phool badan phool

Sadqe mein tere baagh to kya laaye hain ‘ban’ phool
Is gunchaye dil ko bhi to imaa ho ki ban phool

Tinka bhi humare to hilaaye nahi(n) hilta
Tum chaho to ho jaaye abhi kohe mihan phool

Wallah jo mil jaaye mere gul ka paseena
Maange na kabhi itr na phir chahe dulhan phool

Dil basta wa khoo(n) gashta na khushbu na latafat
Kyun guncha kahu(n) hai mere Aaqa ka dahan phool

Shab yaad thi kin daanto(n) ki shabnam ki dame subha
Shokhane bahari ke jadaau hai karan phool

Dandaano labo zulfo rukhe shah ke fidaayi
Hain durre adan, la’ale yaman, mushqe khutan phool

Boo ho ke nihaa(n) ho gaye taabe rukhe shah mein
Lo ban gaye hain ab to haseeno(n) ka dahan phool

Ho(n) baare gunah se na khazil doshe azeezaa(n)
Lillah meri na’sh kar aye jaane chaman phool

Dil apna bhi shaidaayi hai nakhune pa ka
Itna bhi mahe nau pe na aye chakhe kuhan! phool

Dil khol ke khoo(n) to le ghame aarize shah mein
Nikle to kahi(n) hasrate khoo(n) naabah shadan phool

Kya gaaza mala garde Madina ka jo hai aaj
Nikhre hue joban mein qayamat ki phaban phool

Garmi ye qayamat hai ki kaante hain zabaa(n) par
Bulbul ko bhi aye saaqiye sahba wa laban phool

Hai kaun ki girya kare ya fatiha ko aaye
Bekas ke uthaye teri rehmat ke bharan phool

Dil gham tujhe ghere hain khuda tujh ko woh chamkaaye
Suraj tere khirman ko bane teri kiran phool

Kya baat Raza us chamanistane karam ki
Zahra hai kali jis mein Hussain aur Hasan phool