Nemate Baanta Jis Samt Woh Zeeshan Gaya Naat Lyrics

Ne’mate baanta jis samt woh zeeshan gaya
Saath hi munshiye rehmat ka qalamdaan gaya
Le khabar jald ki ghairon ki taraf dhyan gaya
Mere maula mere aaqa tere qurbaan gaya
Aah woh aankh ki nakaame tamanna hi rahi
Haaye woh dil jo tere dar se pur armaan gaya
Dil hai woh dil jo teri yaad se maa’moor raha
Sar hai woh sar jo tere qadmon pe qurbaan gaya
Unhe(n) jaana unhe(n) maana na rakha ghair se kaam
Lillahil hamd main duniya se musalmaan gaya
Aur tum par mere Aaqa ki inayat na sahi
Najdiyon! kalma padhane ka bhi ahsaan gaya
Aaj le unki panaah aaj madad maang unse
Phir na manenge qayamat me agar maan gaya
Uf re munkir ye badaa joshe ta’assub aakhir
Bheed me haath se kam bhakht ke imaan gaya
Jaano dil hosho khirad sab to Madine pahuche
Tum nahi chalte Raza saara to saamaan gaya