Na Aasmaan Ko Yun Sar Kashida Hona Tha Naat Lyrics

Na aasmaan ko yun sar kashida hona tha
Huzoore khaake Madina khameeda hona tha
Agar gulon ko khaza na raseeda hona tha
Kanaare khaare Madina dameeda hona tha
Huzoor unke khilafe adab thi betaabi
Meri umeed! tujhe aarmeeda hona tha
Nazara khaake madina ka aur teri aankh
Na is qadar bhi qamar shokh deeda hona tha
Kanaare khaake madina mein rahate mili
Dile hazee(n)! Tujhe ashke chakeeda hona tha
Panahe daamane dashte haram mein chain aata
Na sabre dil ko gazale rameeda hona tha
Ye kaise khulta ki unke siwa shafee’ nahi
Abas na auro ke aage tapeeda hona tha
Hilaal kaise na banta ki maahe kaamil ko
Salaame abruye shah me rameeda hona tha
La amla anna jahannam tha wa’daye azli
Na munkiro ka abas bad aqeeda hona tha
Naseem kyun na shameem unki taiba se laati
Ki subhe gul ko gireeba(n) dareeda hona tha
Tapakta range junoo(n) ishqe shah me har gul se
Rage bahaar ko nishtar raseeda hona tha
Baja tha arsh pe khaake mazare paak ko naaz
Ki tujhsa arsh nashee(n) aafreeda hona tha
Guzarte jaan se ik shore ‘Ya Habeeb’ ke saath
Fugaa(n) ko naalaye halqe bureeda hona tha
Mere kareem gunah zahar hai magar aakhir
Koi to shahde shafa’at chasheeda hona tha
Jo sange dar pe jabee(n) saaiyon mein tha mitna
To meri jaan sharaare jaheeda hona tha
Teri qaba ke na kyun neeche neeche daaman ho
Ki khaaksaaro se ya(n) kab kasheeda hona tha
Raza jo dil ko banana tha jalwa gaahe Habeeb
To pyare qaide khudi se raheeda hona tha